Mujh pe bhi chashme karam aye mere Aaqa karna Naat Sharif Lyrics

Mujh Pe Bhi Chashme Karam Aye Mere Aaqa Karna...


Mujh pe bhi chashme karam aye mere Aaqa karna

Haq toh mera bhi hai rehmat ka takaaza karna

Tu kisi ko uthata nahi apne dar se,Ke teri shaan ke shaaya nahi aisa karna

Mai hu bekas ke tera shewa hai sahara dena
Mai hu beemaar tera kaam hai achcha karna

Mai ke zarra hu mujhe wusate sahara dede

Ke tere bas me hai katre ko bhi darya karna

Yeh tera kaam hai aye Aamina ke Durr e Yateem
Saari ummat ki shafa’at tanha tanha karna

Chaand ki tarha tere gird woh taaro ka hujoom
Woh tera halqaye ashaab me baitha karna

Mujh pe mehshar me Naseer unki nazar padh hi gayi
Kehne waale isse kehte hai Khuda ka karna...



Comments

Popular posts from this blog

Sarwara Shaha karima dastagira Ashrafa Lyrics ( Ashrafi Taraanaa )

Khuda Ki Azmatain Kya Hain Lyrics

कुछ ऐसा कर दे मेरे किर्दगार आंखों में | Kuchh Aisa Karde Mere Kirdigar Aankho Me Lyrics